Skip to main content
Kuch Alfaz

Kuch Alfaz

By Kush Tyagi

Kuch bemisal shayro ke likhe kuch alfaz
Available on
Apple Podcasts Logo
Castbox Logo
Google Podcasts Logo
Overcast Logo
Pocket Casts Logo
RadioPublic Logo
Spotify Logo
Currently playing episode

Dil se ek yaad bhula di gai hai -- Written by:-- NADEEM BHABHA

Kuch Alfaz Oct 30, 2020

00:00
04:50
Dil se ek yaad bhula di gai hai -- Written by:-- NADEEM BHABHA

Dil se ek yaad bhula di gai hai -- Written by:-- NADEEM BHABHA

dil se ek yaad bhula di gai hai-----


dil se ik yaad bhulā dī ga.ī hai

kisī ġhaflat kī sazā dī ga.ī hai

maiñ ne manzil kī duā māñgī thī

merī raftār baḌhā dī ga.ī hai

aib dīvār ke hoñge zāhir

merī tasvīr haTā dī ga.ī hai

maiñ ne ik dil pe hukūmat kyā kī

mujhe talvār thamā dī ga.ī hai

ab mohabbat kā sabab hai vahshat

varna hasrat to miTā dī ga.ī hai

ab yahāñ se nahīñ jā saktā koī

ab yahāñ sham.a jalā dī ga.ī hai

is liye jam ke yahāñ baiThā huuñ

mujh ko merī hī jagah dī ga.ī hai


jaisa hun jis haal mein hun achchha hun main:------

jaisā huuñ jis haal meñ huuñ achchhā huuñ maiñ

tum ne zinda samjhā to zinda huuñ maiñ

ik āvāz ke aate hī mar jā.ūñgā

ik āvāz ke sunñe ko zinda huuñ maiñ

khule hue darvāze dastak bhuul chuke

indar aa jaao pahchān chukā huuñ maiñ

aur koī pahchān mirī bantī hī nahīñ

jānte haiñ sab log ki bas terā huuñ maiñ

jaane kis ko raazī karnā hai mujh ko

jaane kis kī ḳhātir naach rahā huuñ maiñ

ab to ye bhī yaad nahīñ ki mohabbat meñ

kab se tere paas huuñ aur kitnā huuñ maiñ


waqt ki tarah tere hath se nikle hue hain:----

vaqt kī tarah tire haath se nikle hue haiñ

ham sitāre haiñ magar raat se nikle hue haiñ

ḳhāmushī ham pe girī āḳhirī miTTī kī tarah

aise chup haiñ ki har ik baat se nikle hue haiñ

ham kisī zo.am meñ nārāz hue haiñ tujh se

ham kisī baat pe auqāt se nikle hue haiñ

ye mirā ġham hai mire dost magar tū ye samajh

ashk to shiddat-e-jazbāt se nikle hue haiñ

ham ġhulāmī ko muqaddar kī tarah jānte haiñ

ham tirī jiit tirī maat se nikle hue haiñ


aankh uTha kar tujhe dekha na pukara maine:----

aañkh uThā kar tujhe dekhā na pukārā maiñ ne

hijr kī tarah tirā vasl guzārā maiñ ne

kyā faqat merī adab se hī parakh hogī yahāñ

vo jo ik ishq tire ishq meñ haarā maiñ ne

tū ne jo qarz kī sūrat meñ judā.ī dī thī

nasl-dar-nasl vahī qarz utārā maiñ ne

ek mānūs sī āvāz ne thāmā mujh ko

ḳhud ko ik baar mohabbat se pukārā maiñ ne

kyā karūñ koī nazar aatā nahīñ tere sivā

kyā batā.ūñ ki kiyā kaisā nazārā maiñ ne


mangte mangte dua mere sath:----

māñgte māñgte duā mire saath

bujh gayā āḳhirī diyā mire saath

tū ne mujh ko tasallī denā thī

tū bhī ai shaḳhs ro paḌā mire saath

dil meñ aayā ḳhayāl tujh se milūñ

chal paḌā ek rāsta mire saath

koī jachtā nahīñ alāva tire

varna ik ham-safar to thā mire saath

bad-nasībī ki ishq kar ke bhī

koī dhoka nahīñ huā mire saath

dushmanī to mirī thī sūraj se

shahr kā shahr jal gayā mire saath

saare chehre hī tere chehre haiñ

tū rahā hai judā judā mire saath


suhulat ho aziyyat ho tumhaare sath rahna hai:----

suhulat ho aziyyat ho tumhāre saath rahnā hai

ki ab koī bhī sūrat ho tumhāre saath rahnā hai

hamāre rābte hī is qadar haiñ, tum ho aur bas tum

tumheñ sab se mohabbat ho tumhāre saath rahnā hai

aur ab ghar-bār jab ham chhoḌ kar aa hī chuke haiñ to

tumheñ jitnī bhī nafrat ho tumhāre saath rahnā hai

hamāre paañv meñ kīleñ aur ā.ankhoñ se lahū Tapke

hamārī jo bhī hālat ho tumhāre saath rahnā hai

tumheñ har sub.h aur har shaam hai bas dekhte rahnā

tum itne ḳhūbsūrat ho tumhāre saath rahnā hai

Oct 30, 202004:50
main khujuron bhare sahraon mein dekha gaya hun -- Written by:-- NADEEM BHABHA

main khujuron bhare sahraon mein dekha gaya hun -- Written by:-- NADEEM BHABHA

main khujuron bhare sahraon mein dekha gaya hun-----

maiñ khujūroñ bhare sahrāoñ meñ dekhā gayā huuñ

taḳht ke ba.ad tire paañv meñ dekhā gayā huuñ

lamha bhar ko mire sar par koī bādal aayā

kahne vāloñ ne kahā chhāñv meñ dekhā gayā huuñ

phir mujhe ḳhud bhī ḳhabar ho na sakī maiñ huuñ kahāñ

āḳhirī baar tire gaañv meñ dekhā gayā huuñ


tamam umr jale aur raushni nahin ki-------

tamām umr jale aur raushnī nahīñ kī

ye zindagī hai to phir ham ne zindagī nahīñ kī

sitam to ye hai ki mere ḳhilāf bolte haiñ

vo log jin se kabhī maiñ ne baat bhī nahīñ kī

jo dil meñ aatā gayā sidq-e-dil se likhtā gayā

duā.eñ māñgī haiñ maiñ ne to shā.erī nahīñ kī

bas itnā hai ki mirā baḳht Dhal gayā aur phir

mire charāġh ne bhī mujh pe raushnī nahīñ kī

mirī sipāh se duniyā larazne lagtī hai

magar tumhārī to maiñ ne barābarī nahīñ kī

kuchh is liye bhī akelā sā ho gayā huuñ 'nadīm'

sabhī ko dost banāyā hai dushmanī nahīñ kī


main aise moD par apni kahani chhoD aaya hun-----

maiñ aise moḌ par apnī kahānī chhoḌ aayā huuñ

kisī kī aañkh meñ paanī hī paanī chhoḌ aayā huuñ

abhī to us se milne kā bahāna aur karnā hai

abhī to us ke kamre meñ nishānī chhoḌ aayā huuñ

bas itnā soch kar hī mujh ko apne paas tum rakh lo

tumhāre vāste maiñ hukmarānī chhoḌ aayā huuñ

isī ḳhātir mire chāroñ taraf phailā hai sannāTā

kahīñ maiñ apne lafzoñ ke ma.ānī chhoḌ aayā huuñ

'nadīm' is gardish-e-aflāk ko maiñ chaak samjhā to

vahāñ par zindagī apnī banānī chhoḌ aayā huuñ

Oct 28, 202002:16
TERA KHAYAL -- Written by:-- Manoj Muntashir
Oct 28, 202000:33
Laffaji - by Kush Tyagi

Laffaji - by Kush Tyagi

ek chhota sa sher kahi na kahi meri shaksiyat ko byan krta hua--
Sep 26, 202000:12
Mere Kuch Alfaz = 01

Mere Kuch Alfaz = 01

I hope you like this one 

Sep 25, 202000:51
Ep-2 jAUN ELIA KE KUCH ALFAZ

Ep-2 jAUN ELIA KE KUCH ALFAZ

Jaun elia sahab ki likhi kitab shayad se kuch alfaz
Jan 11, 202001:59
Ep-1 JAUN ELIA KE KUCH ALFAZ

Ep-1 JAUN ELIA KE KUCH ALFAZ

JAUN ELIA SAHAB KI KITAB "SHAYD" SE "DO GHAZALA"
Jan 08, 202002:09